zindagi apni hui yar ki fitrat ki tarah
zindagī apnī huī yaar kī fitrat kī tarah
ham bhī kal hoñ ki na hoñ us kī ināyat kī tarah
vaqt ham ko ye bure din na dikhātā ai kaash
ham bhī uTh jaate zamāne se mohabbat kī tarah
ham to har lamhe ko dete rahe sāñsoñ kā hisāb
ham pe TuuTā hai har ik lamha qayāmat kī tarah
gul khilā.egā ye maqtūl-lahū dhartī par
kisī ruḳhsār pe chaḌhtī huī rañgat kī tarah
log kahte haiñ na kyoñ bhuul gayā maiñ us ko
vo ki thā jo mirī buniyādī zarūrat kī tarah
zindagī to kisī sāġhar meñ Dhalī to hotī
ham to pī lete tujhe jām-e-shahādat kī tarah
zindagi apni hui yar ki fitrat ki tarah
hum bhi kal hon ki na hon us ki inayat ki tarah
waqt hum ko ye bure din na dikhata ai kash
hum bhi uTh jate zamane se mohabbat ki tarah
hum to har lamhe ko dete rahe sanson ka hisab
hum pe TuTa hai har ek lamha qayamat ki tarah
gul khilaega ye maqtul-lahu dharti par
kisi ruKHsar pe chaDhti hui rangat ki tarah
log kahte hain na kyon bhul gaya main us ko
wo ki tha jo meri buniyaadi zarurat ki tarah
zindagi to kisi saghar mein Dhali to hoti
hum to pi lete tujhe jam-e-shahadat ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.