zindagi apni jagah hai bandagi apni jagah
zindagī apnī jagah hai bandagī apnī jagah
mai-kade se us ke ghar vaalī galī apnī jagah
chhup ke gahre vaar kā mauqa' gañvānā sīkhiye
dosto aa'lā nasab se dushmanī apnī jagah
us ne dil toḌā hai lekin dostī toḌī nahīñ
ye sitam mashrūt hai to dostī apnī jagah
us ke ik ik zulm ko mahsūs to karte hī haiñ
ham zabāñ vāloñ kī sāhib ḳhāmushī apnī jagah
āñdhiyāñ ġham kī musalsal chal rahīñ haiñ to chaleñ
ik na.ī ummīd kī hai raushnī apnī jagah
gar nahīñ bujhte hamāre 'ilm ke raushan charāġh
chhoḌ hī detī diloñ se tīrgī apnī jagah
qā'ede 'misdāq' sab rakhte hue bālā-e-tāq
jānvar ko de rahā hai aadmī apnī jagah
zindagi apni jagah hai bandagi apni jagah
mai-kade se us ke ghar wali gali apni jagah
chhup ke gahre war ka mauqa' ganwana sikhiye
dosto aa'la nasab se dushmani apni jagah
us ne dil toDa hai lekin dosti toDi nahin
ye sitam mashrut hai to dosti apni jagah
us ke ek ek zulm ko mahsus to karte hi hain
hum zaban walon ki sahib KHamushi apni jagah
aandhiyan gham ki musalsal chal rahin hain to chalen
ek nai ummid ki hai raushni apni jagah
gar nahin bujhte hamare 'ilm ke raushan charagh
chhoD hi deti dilon se tirgi apni jagah
qa'ede 'misdaq' sab rakhte hue baala-e-taq
jaanwar ko de raha hai aadmi apni jagah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.