Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi apni kaamyab nahin

Nadir Shahjahanpuri

zindagi apni kaamyab nahin

Nadir Shahjahanpuri

MORE BYNadir Shahjahanpuri

    zindagī apnī kāmyāb nahīñ

    ġham-e-daurāñ kuchh hisāb nahīñ

    dard jis meñ na ho vo dil kaisā

    naaz jis meñ na ho shabāb nahīñ

    mauj-e-dariyā ko chāhiye tezī

    jo uThā.e na sar habāb nahīñ

    dost terī harīm-e-aqdas meñ

    ek banda bāryāb nahīñ

    ḳhvāb-e-marg aa.egā zarūr ik din

    ye haqīqat hai koī ḳhvāb nahīñ

    tere bāb-e-qubūl par yārab

    arz merī mustajāb nahīñ

    kaam ye javāb karte ho

    mere ḳhat koī javāb nahīñ

    mere jurmoñ kuchh hisāb to hai

    tere rahm hisāb nahīñ

    kyā karūñ terī diid hasrat

    jab mujhe dekhne taab nahīñ

    dekh gahrī nazar se dariyā ko

    koī aisī khulī kitāb nahīñ

    tujh se bekas haiñ saikḌoñ 'nādir'

    zer-e-gardūñ ḳharāb nahīñ

    zindagi apni kaamyab nahin

    gham-e-dauran ka kuchh hisab nahin

    dard jis mein na ho wo dil kaisa

    naz jis mein na ho shabab nahin

    mauj-e-dariya ko chahiye tezi

    jo uThae na sar habab nahin

    dost teri harim-e-aqdas mein

    ek banda hi baryab nahin

    KHwab-e-marg aaega zarur ek din

    ye haqiqat hai koi KHwab nahin

    tere bab-e-qubul par yarab

    arz meri hi mustajab nahin

    kaam ye la jawab karte ho

    mere KHat ka koi jawab nahin

    mere jurmon ka kuchh hisab to hai

    tere hi rahm ka hisab nahin

    kya karun teri did ki hasrat

    jab mujhe dekhne ki tab nahin

    dekh gahri nazar se dariya ko

    koi aisi khuli kitab nahin

    tujh se bekas hain saikDon 'nadir'

    zer-e-gardun tu hi KHarab nahin

    Source :
    • Book : Deewan-e-Nadir (Pg. 194)
    • Author : Abul Khayal Nadir Shahjahanpuri
    • Publication : Jasper Paul John Robert paul memorial Society Jhansi U.P (2015)
    • Edition : 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now