zindagi apni KHwab jaisi hai
zindagī apnī ḳhvāb jaisī hai
ḳhūb-rū be-naqāb jaisī hai
sehn-e-gulshan meñ aap kī hastī
shāḳh par ek gulāb jaisī hai
kabhī Duubī hai aur kabhī ubhrī
āshiqī bhī hubāb jaisī hai
hosh meñ rah ke bhī hai be-hoshī
ziist apnī sharāb jaisī hai
un kī shoḳhī to hai bahār-e-chaman
sādgī mahv-e-ḳhvāb jaisī hai
hai karishma ye un kī āñkhoñ kā
ḳhāmushī bhī ḳhitāb jaisī hai
guzre lamhoñ ke saath saath 'anvar'
zindagī inqalāb jaisī hai
zindagi apni KHwab jaisi hai
KHub-ru be-naqab jaisi hai
sehn-e-gulshan mein aap ki hasti
shaKH par ek gulab jaisi hai
kabhi Dubi hai aur kabhi ubhri
aashiqi bhi hubab jaisi hai
hosh mein rah ke bhi hai be-hoshi
zist apni sharab jaisi hai
un ki shoKHi to hai bahaar-e-chaman
sadgi mahw-e-KHwab jaisi hai
hai karishma ye un ki aankhon ka
KHamushi bhi KHitab jaisi hai
guzre lamhon ke sath sath 'anwar'
zindagi inqalab jaisi hai
- Book : Inbisat-e-hayat (Pg. 62)
- Author : Anwar Jamal Anwar
- Publication : Anwar Jamal Anwar (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.