zindagi apni yahan apne liye tazir hai
zindagī apnī yahāñ apne liye ta.azīr hai
shauq dil meñ raqs kā aur paañv meñ zanjīr hai
tesha-e-jamhūriyat hai ahl-e-zar ke haath meñ
jū-e-ḳhūñ ko vo batāte haiñ ki jū-e-shīr hai
gardish-e-ayyām ko ab gardish-e-insāñ kaheñ
karte rahnā hijrateñ insān kī taqdīr hai
jaan dī kitne sitāroñ ne isī ummīd par
sub.h ke hone meñ āḳhir kis liye tāḳhīr hai
jagmagāte qasr ke nīche añdhere jhoñpaḌe
ye hazāroñ saal kī tahzīb kī tasvīr hai
ḳhūñ-bahā merā mire qātil ko miltā hai yahāñ
ban ga.ī insāf kī mīzān bhī shamshīr hai
hoñ khaḌe sone kī īñToñ par rasā.ī ke liye
haath se ūñchī bahut ab adl kī zanjīr hai
ban chukīñ tārīkiyāñ apnā muqaddar is tarah
ek jugnū kī chamak bhī ḳhvāb kī ta.abīr hai
apnā haq apnī zabāñ par bhī nahīñ baaqī rahā
ḳhvāb-e-āzādī kī apne kyā yahī ta.abīr hai
chauñk paḌtā huuñ maiñ har aahaT pe kaise ḳhauf se
aa rahā qātil mirā yā jā rahā rah-gīr hai
bhuuk bīmārī jahālat meñ muqayyad aadmī
zindagī kyā hai koī bigḌī huī tasvīr hai
aadmī hai paikar-e-mehr-o-vafā amn-o-amāñ
har galī-kūche meñ lekin chal rahī shamshīr hai
jābir-o-āmir badal paa.e zamāna kab yahāñ
aam insānoñ se bantī vaqt kī taqdīr hai
zindagi apni yahan apne liye tazir hai
shauq dil mein raqs ka aur panw mein zanjir hai
tesha-e-jamhuriyat hai ahl-e-zar ke hath mein
ju-e-KHun ko wo batate hain ki ju-e-shir hai
gardish-e-ayyam ko ab gardish-e-insan kahen
karte rahna hijraten insan ki taqdir hai
jaan di kitne sitaron ne isi ummid par
subh ke hone mein aaKHir kis liye taKHir hai
jagmagate qasr ke niche andhere jhonpaDe
ye hazaron sal ki tahzib ki taswir hai
KHun-baha mera mere qatil ko milta hai yahan
ban gai insaf ki mizan bhi shamshir hai
hon khaDe sone ki inTon par rasai ke liye
hath se unchi bahut ab adl ki zanjir hai
ban chukin tarikiyan apna muqaddar is tarah
ek jugnu ki chamak bhi KHwab ki tabir hai
apna haq apni zaban par bhi nahin baqi raha
KHwab-e-azadi ki apne kya yahi tabir hai
chaunk paDta hun main har aahaT pe kaise KHauf se
aa raha qatil mera ya ja raha rah-gir hai
bhuk bimari jahaalat mein muqayyad aadmi
zindagi kya hai koi bigDi hui taswir hai
aadmi hai paikar-e-mehr-o-wafa amn-o-aman
har gali-kuche mein lekin chal rahi shamshir hai
jabir-o-amir badal pae zamana kab yahan
aam insanon se banti waqt ki taqdir hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.