zindagi bais-e-ummid bhi ruswai bhi
zindagī bā.is-e-ummīd bhī rusvā.ī bhī
us kī dahlīz talak le ga.ī bhī laa.ī bhī
use to dekhte hī Dagmagā jaate haiñ qadam
aur phir us pe vo le letī hai añgḌā.ī bhī
maiñ ki tanhā bhī huuñ rotā bhī huuñ hañstā bhī huuñ
ya.anī maiñ ḳhud hī tamāshā bhī tamāshā.ī bhī
apne aiboñ ko bhī ash.ār meñ kah detā huuñ
aur sitam ye hai ki hotī hai pazīrā.ī bhī
mere hamrāh tire sog meñ rahte haiñ mudām
sirf kamra hī nahīñ sahn bhī añgnā.ī bhī
zindagi bais-e-ummid bhi ruswai bhi
us ki dahliz talak le gai bhi lai bhi
use to dekhte hi Dagmaga jate hain qadam
aur phir us pe wo le leti hai angDai bhi
main ki tanha bhi hun rota bhi hun hansta bhi hun
yani main KHud hi tamasha bhi tamashai bhi
apne aibon ko bhi ashaar mein kah deta hun
aur sitam ye hai ki hoti hai pazirai bhi
mere hamrah tere sog mein rahte hain mudam
sirf kamra hi nahin sahn bhi angnai bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.