zindagi be-kaif dil be-muddaa ho jaega
zindagī be-kaif dil be-mudda'ā ho jā.egā
bin tire ai dost jiinā ik sazā ho jā.egā
ye to sunte the jahāñ meñ kaun kis kā hai magar
ye kahāñ sochā thā tū bhī bevafā ho jā.egā
aaj sab darvāze mujh par band haiñ to kyā huā
vo agar chāhegā har darvāza vā ho jā.egā
laakh achchhā ho to kyā us aadmī ko ek din
sab burā kahne lageñ to vo burā ho jā.egā
vaqt kī gardish se andāza ye hotā hai mujhe
misl-e-māzī haal kā ġham bhī fanā ho jā.egā
dair meñ kiije ki kā'be meñ jabīñ ḳham kījiye
dil jahāñ jhuk jā.egā sajda adā ho jā.egā
kitne hī janmoñ se 'gulshan' merā us kā saath hai
is janam meñ bhī milegā vo judā ho jā.egā
zindagi be-kaif dil be-mudda'a ho jaega
bin tere ai dost jina ek saza ho jaega
ye to sunte the jahan mein kaun kis ka hai magar
ye kahan socha tha tu bhi bewafa ho jaega
aaj sab darwaze mujh par band hain to kya hua
wo agar chahega har darwaza wa ho jaega
lakh achchha ho to kya us aadmi ko ek din
sab bura kahne lagen to wo bura ho jaega
waqt ki gardish se andaza ye hota hai mujhe
misl-e-mazi haal ka gham bhi fana ho jaega
dair mein kije ki ka'be mein jabin KHam kijiye
dil jahan jhuk jaega sajda ada ho jaega
kitne hi janmon se 'gulshan' mera us ka sath hai
is janam mein bhi milega wo juda ho jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.