zindagi bhar humse mat puchho ki kya karte rahe
zindagī bhar ham se mat pūchho ki kyā karte rahe
gardish-e-daurāñ kā jam kar sāmnā karte rahe
gulsitāñ to jal gayā lekin muhibbān-e-chaman
aap se ham pūchhte haiñ aap kyā karte rahe
shahr saarā nafratoñ kī aag meñ jaltā rahā
aap the ki ghar meñ baiThe mashvara karte rahe
luT gayā sab kuchh to gahrī niiñd se āñkheñ khulīñ
ham ko kyā karnā thā yaaro aur kyā karte rahe
un kī nazroñ ko na bhāyā dūsrā koī 'na'īm'
mujh pe hī vo har sitam kī intihā karte rahe
zindagi bhar hum se mat puchho ki kya karte rahe
gardish-e-dauran ka jam kar samna karte rahe
gulsitan to jal gaya lekin muhibban-e-chaman
aap se hum puchhte hain aap kya karte rahe
shahr sara nafraton ki aag mein jalta raha
aap the ki ghar mein baiThe mashwara karte rahe
luT gaya sab kuchh to gahri nind se aankhen khulin
hum ko kya karna tha yaro aur kya karte rahe
un ki nazron ko na bhaya dusra koi 'na'im'
mujh pe hi wo har sitam ki intiha karte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.