zindagi-bhar ke liye tujhse KHafa ho jaunga
zindagī-bhar ke liye tujh se ḳhafā ho jā.uñgā
jo na hogā ḳhatm maiñ vo fāsla ho jā.uñgā
jab kabhī qaid-e-musībat se rihā ho jā.uñgā
dostoñ ke vāste phir āshnā ho jā.uñgā
soch le zālim sitam ke baa'd māyūsī na ho
merā kyā hai paikar-e-sabr-o-razā ho jā.uñgā
vo burā kahtā hai mujh ko shauq se kahtā rahe
kyā burā kahne se us ke maiñ burā ho jā.uñgā
phail jā.uñgā fazā meñ har taraf phailā jo maiñ
aur agar simTā to terā naqsh-e-pā ho jā.uñgā
DhūñDhnā ḳhud ko paḌegā justujū-e-yār meñ
kyā ḳhabar thī is qadar maiñ lāpata ho jā.uñgā
maiñ abhī dast-e-sikandar meñ huuñ patthar huuñ to kyā
qaid sūraj ko karūñgā aa.ina ho jā.uñgā
maiñ dayār-e-shauq meñ ik khoTā sikka huuñ to kyā
aap ke hāthoñ meñ pohñchā to kharā ho jā.uñgā
din to jaise-taise kaT jā.egā lekin ai 'shafīq'
shaam hote hī ġhamoñ meñ mubtalā ho jā.uñgā
zindagi-bhar ke liye tujh se KHafa ho jaunga
jo na hoga KHatm main wo fasla ho jaunga
jab kabhi qaid-e-musibat se riha ho jaunga
doston ke waste phir aashna ho jaunga
soch le zalim sitam ke ba'd mayusi na ho
mera kya hai paikar-e-sabr-o-raza ho jaunga
wo bura kahta hai mujh ko shauq se kahta rahe
kya bura kahne se us ke main bura ho jaunga
phail jaunga faza mein har taraf phaila jo main
aur agar simTa to tera naqsh-e-pa ho jaunga
DhunDhna KHud ko paDega justuju-e-yar mein
kya KHabar thi is qadar main lapata ho jaunga
main abhi dast-e-sikandar mein hun patthar hun to kya
qaid suraj ko karunga aaina ho jaunga
main dayar-e-shauq mein ek khoTa sikka hun to kya
aap ke hathon mein pohncha to khara ho jaunga
din to jaise-taise kaT jaega lekin ai 'shafiq'
sham hote hi ghamon mein mubtala ho jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.