zindagi bhar ki duaon ka sila hota hai
zindagī bhar kī du'āoñ kā sila hotā hai
ik vo sajda jo tire dar pe adā hotā hai
dosto pursish-e-ahvāl se kyā hotā hai
is tasallī se to ġham aur sivā hotā hai
jo halāk-e-ravish-e-ḳhud-nigarī ho jaa.eñ
un ko ā.īna dikhāne se bhī kyā hotā hai
phuul ḳhud ātish-e-jazbāt se jal jaate haiñ
varna tabdīlī-e-hālāt se kyā hotā hai
koī manzil ho magar zinda-e-jāved hai 'ishq
aaj bhī tazkira-e-ahl-e-vafā hotā hai
rahbar-e-kor-nazar ko ye batā do 'bismil'
gard-e-manzil hī meñ manzil kā pata hotā hai
zindagi bhar ki du'aon ka sila hota hai
ek wo sajda jo tere dar pe ada hota hai
dosto pursish-e-ahwal se kya hota hai
is tasalli se to gham aur siwa hota hai
jo halak-e-rawish-e-KHud-nigari ho jaen
un ko aaina dikhane se bhi kya hota hai
phul KHud aatish-e-jazbaat se jal jate hain
warna tabdili-e-haalat se kya hota hai
koi manzil ho magar zinda-e-jawed hai 'ishq
aaj bhi tazkira-e-ahl-e-wafa hota hai
rahbar-e-kor-nazar ko ye bata do 'bismil'
gard-e-manzil hi mein manzil ka pata hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.