zindagi bhar ki shikaston ka sila dena paDa
zindagī bhar kī shikastoñ kā sila denā paḌā
mauj-e-dariyā ko bhī baḌh kar rāsta denā paḌā
teġh ke saa.e meñ dekhīñ jab hamārī jur.ateñ
mere maulā ko bhī phir haqq-e-du'ā denā paḌā
us ke ghar meñ thiiñ siyānī beTiyāñ is vāste
baap ko āñkhoñ kī nīñdoñ ko uḌā denā paḌā
bachche āvāra hue jab is na.ī tahzīb meñ
āḳhirash maañ baap ko ghar hī jalā denā paḌā
'rahbar'-e-partāpgaḌ.h ne jab paḌhī taaza ġhazal
ahl-e-mahfil ko ġham-e-duniyā bhulā denā paḌā
zindagi bhar ki shikaston ka sila dena paDa
mauj-e-dariya ko bhi baDh kar rasta dena paDa
tegh ke sae mein dekhin jab hamari juraten
mere maula ko bhi phir haqq-e-du'a dena paDa
us ke ghar mein thin siyani beTiyan is waste
bap ko aankhon ki nindon ko uDa dena paDa
bachche aawara hue jab is nai tahzib mein
aaKHirash man bap ko ghar hi jala dena paDa
'rahbar'-e-partapgaDh ne jab paDhi taza ghazal
ahl-e-mahfil ko gham-e-duniya bhula dena paDa
- Book : Aao Raushni Karlen (Pg. 51)
- Author : Rahbar Pratapgarhi
- Publication : Maktaba Ahsan,Lucknow (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.