zindagi bhar to sada jabr sahe sabr kiye
zindagi bhar to sada jabr sahe sabr kiye
Khwaja Mohammad Zakariya
MORE BYKhwaja Mohammad Zakariya
zindagī bhar to sadā jabr sahe sabr kiye
maut ke ba.ad mujhe kyā jo mirī qabr jiye
kholte laave ke mānind ubaltā hai dimāġh
jab ye hālat ho to kab tak koī hoñToñ ko siye
jism zaḳhmī ho to siinā bhī use mumkin hai
ruuh par zaḳhm lage hoñ to unheñ kaun siye
rāh-rau raah meñ kīḌoñ kī tarah reñgte raheñ
rāhbar ūñchī havāoñ meñ haiñ palkoñ ko siye
vo agar chāheñ to taqdīr badal saktī hai
par nahīñ un ko ġharaz koī mare koī jiye
raushnī duur bahut duur hai phir bhī ham se
jagmagāte haiñ ufuq-tā-ba-ufuq lākhoñ diye
kaise zinda huuñ abhī tak nahīñ samjhā ḳhud bhī
zaḳhm khaa.e haiñ bahut maiñ ne bahut zahr piye
zindagi bhar to sada jabr sahe sabr kiye
maut ke baad mujhe kya jo meri qabr jiye
kholte lawe ke manind ubalta hai dimagh
jab ye haalat ho to kab tak koi honTon ko siye
jism zaKHmi ho to sina bhi use mumkin hai
ruh par zaKHm lage hon to unhen kaun siye
rah-rau rah mein kiDon ki tarah rengte rahen
rahbar unchi hawaon mein hain palkon ko siye
wo agar chahen to taqdir badal sakti hai
par nahin un ko gharaz koi mare koi jiye
raushni dur bahut dur hai phir bhi hum se
jagmagate hain ufuq-ta-ba-ufuq lakhon diye
kaise zinda hun abhi tak nahin samjha KHud bhi
zaKHm khae hain bahut main ne bahut zahr piye
- Book : Monthly Adab-e-Latif (Pg. 110)
- Author : Siddiqah Begum
- Publication : Aaftab Ahmed Chaudhry (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.