zindagi-bhar zindagi ki KHak main chhana kiya
zindagī-bhar zindagī kī ḳhaak maiñ chhānā kiyā
ġhair ko apnā kiyā apne ko begānā kiyā
husn ke inkār meñ iqrār kā pahlū bhī hai
ham ne us ko haañ hī samjhā us ne jab nā-nā kiyā
maiñ namāzī yā pujārī to nahīñ huuñ haañ magar
mere mālik maiñ ne terā shukr rozāna kiyā
shiddat-e-tishna-labī laa.ī hameñ is moḌ par
mai-kade meñ bārhā hāthoñ ko paimānā kiyā
jab se ahl-e-zauq kī dilchaspiyāñ kam ho ga.iiñ
ham ne māhāna nashistoñ ko bhī sālāna kiyā
jaane kitne taaj aa kar mere qadmoñ meñ gire
maiñ ne jiine kā tarīqa jab faqīrāna kiyā
dūsroñ kī raah par chalnā hameñ aaya nahīñ
kaam ham ne jo kiyā 'rāhib' judāgāna kiyā
zindagi-bhar zindagi ki KHak main chhana kiya
ghair ko apna kiya apne ko begana kiya
husn ke inkar mein iqrar ka pahlu bhi hai
hum ne us ko han hi samjha us ne jab na-na kiya
main namazi ya pujari to nahin hun han magar
mere malik main ne tera shukr rozana kiya
shiddat-e-tishna-labi lai hamein is moD par
mai-kade mein barha hathon ko paimana kiya
jab se ahl-e-zauq ki dilchaspiyan kam ho gain
hum ne mahana nashiston ko bhi salana kiya
jaane kitne taj aa kar mere qadmon mein gire
main ne jine ka tariqa jab faqirana kiya
dusron ki rah par chalna hamein aaya nahin
kaam hum ne jo kiya 'rahib' judagana kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.