zindagi bhi wo zindagi hi nahin
zindagī bhī vo zindagī hī nahīñ
jis kā maqsūd āgahī hī nahīñ
jal rahe haiñ charāġh har jānib
dil ke hujre meñ raushnī hī nahīñ
ḳhushk sahrā mirā vajūd sahī
par nigāhoñ meñ tishnagī hī nahīñ
ādamiyyat kī soch se hai pare
jis kī fitrat meñ ājizī hī nahīñ
aisā banda bhī koī banda hai
jis meñ maujūd bandagī hī nahīñ
husn āsūda-e-nazar kyā ho
jis kī ḳhaslat meñ sādgī hī nahīñ
chāñd niklā hai aaj chaudhvīñ kā
mere āñgan meñ chāñdnī hī nahīñ
gungunāhaT meñ ġham hai bhañvaroñ kī
aaj phūloñ meñ tāzgī hī nahīñ
haa.e is daur-e-nā-masā.ed meñ
mo'atabar koī aadmī hī nahīñ
zindagi bhi wo zindagi hi nahin
jis ka maqsud aagahi hi nahin
jal rahe hain charagh har jaanib
dil ke hujre mein raushni hi nahin
KHushk sahra mera wajud sahi
par nigahon mein tishnagi hi nahin
aadamiyyat ki soch se hai pare
jis ki fitrat mein aajizi hi nahin
aisa banda bhi koi banda hai
jis mein maujud bandagi hi nahin
husn aasuda-e-nazar kya ho
jis ki KHaslat mein sadgi hi nahin
chand nikla hai aaj chaudhwin ka
mere aangan mein chandni hi nahin
gungunahaT mein gham hai bhanwaron ki
aaj phulon mein tazgi hi nahin
hae is daur-e-na-masaed mein
mo'atabar koi aadmi hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.