zindagi chain se basar na hui
zindagī chain se basar na huī
kabhī qismat hī bahra-var na huī
zindagī besh-o-kam magar na huī
ek pal bhī idhar udhar na huī
sarkashoñ ko yahāñ faroġh kahāñ
zulm kī shāḳh bārvar na huī
naala apnā koī rasā na huā
koī bhī aah pur-asar na huī
dekhiye roz-e-hashr kyā hogā
afv apnī ḳhatā agar na huī
jis jagah hai nihāñ vo parda-nashīñ
haif us jā mirī nazar na huī
āmad-e-marg sun ke hañstā huuñ
ek din merī aañkh tar na huī
ho ga.e ḳhud siyāh baal safed
shaam ke baad kab sahar na huī
kyā jalā koī us kī mahfil meñ
uud kī tarah bū agar na huī
kyā ḳhabar ham kahāñ hue barbād
kuchh hamārī hameñ ḳhabar na huī
isī hasrat meñ ho ga.e mādūm
haath apnā tirī kamar na huī
ai shab-e-vasl haif terī tarah
zindagī apnī muḳhtasar na huī
umr bhar dil ko iztirāb rahā
kabhī kam sozish-e-jigar na huī
shab-e-hijrāñ tirā ho muñh kaalā
mar ga.e ham magar sahar na huī
is tarah 'sabr' le ga.e vo dil
ki jigar ko bhī kuchh ḳhabar na huī
zindagi chain se basar na hui
kabhi qismat hi bahra-war na hui
zindagi besh-o-kam magar na hui
ek pal bhi idhar udhar na hui
sarkashon ko yahan farogh kahan
zulm ki shaKH barwar na hui
nala apna koi rasa na hua
koi bhi aah pur-asar na hui
dekhiye roz-e-hashr kya hoga
afw apni KHata agar na hui
jis jagah hai nihan wo parda-nashin
haif us ja meri nazar na hui
aamad-e-marg sun ke hansta hun
ek din meri aankh tar na hui
ho gae KHud siyah baal safed
sham ke baad kab sahar na hui
kya jala koi us ki mahfil mein
ud ki tarah bu agar na hui
kya KHabar hum kahan hue barbaad
kuchh hamari hamein KHabar na hui
isi hasrat mein ho gae madum
hath apna teri kamar na hui
ai shab-e-wasl haif teri tarah
zindagi apni muKHtasar na hui
umr bhar dil ko iztirab raha
kabhi kam sozish-e-jigar na hui
shab-e-hijran tera ho munh kala
mar gae hum magar sahar na hui
is tarah 'sabr' le gae wo dil
ki jigar ko bhi kuchh KHabar na hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.