zindagi dard ka nisab rahi
zindagī dard kā nisāb rahī
aur kabhī naġhmagī kā baab rahī
ḳhuun ālūd the sabhī chehre
maiñ magar surḳhī-e-gulāb rahī
niile paanī pe mun.akis jo hue
maiñ vo mahtāb-o-āftāb rahī
vo muḳhātab nahīñ huā mujh se
phir bhī maiñ markaz-e-ḳhitāb rahī
nafratoñ ke jahān meñ 'raziya'
maiñ mohabbat kā intisāb rahī
harf shaa.e na ho sake mere
vāris-e-sāhab-e-kitāb rahī
zindagi dard ka nisab rahi
aur kabhi naghmagi ka bab rahi
KHun aalud the sabhi chehre
main magar surKHi-e-gulab rahi
nile pani pe munakis jo hue
main wo mahtab-o-aftab rahi
wo muKHatab nahin hua mujh se
phir bhi main markaz-e-KHitab rahi
nafraton ke jahan mein 'raziya'
main mohabbat ka intisab rahi
harf shae na ho sake mere
waris-e-sahab-e-kitab rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.