Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi dauD hi to hai chal bhag ja

Syed Wajih Ul Hassan Sherazi

zindagi dauD hi to hai chal bhag ja

Syed Wajih Ul Hassan Sherazi

MORE BYSyed Wajih Ul Hassan Sherazi

    zindagī dauḌ to hai chal bhaag

    vaqt ke saath ḳhud ko badal bhaag

    bhī uktā.egā ek din hijr se

    yaar yādoñ se us nikal bhaag

    koī girte hue ko uThātā nahīñ

    gir gayā hai agar uTh sañbhal bhaag

    maiñ ḳhayāloñ meñ gum thā kisī ne kahā

    'ārzī dā.ere se nikal bhaag

    rasta mushkil hai manzil bahut duur hai

    din javānī ke jaa.eñ na Dhal bhaag

    us ke dil meñ jagah maiñ ne jab chāhī thī

    kah diyā us ne dil se nikal bhaag

    is nagar meñ sabhī sang-dil haiñ 'vajīh'

    uThā ret ke ye mahal bhaag

    zindagi dauD hi to hai chal bhag ja

    waqt ke sath KHud ko badal bhag ja

    tu bhi uktaega ek din hijr se

    yar yaadon se us ki nikal bhag ja

    koi girte hue ko uThata nahin

    gir gaya hai agar uTh sanbhal bhag ja

    main KHayalon mein gum tha kisi ne kaha

    'arzi daere se nikal bhag ja

    rasta mushkil hai manzil bahut dur hai

    din jawani ke jaen na Dhal bhag ja

    us ke dil mein jagah main ne jab chahi thi

    kah diya us ne dil se nikal bhag ja

    is nagar mein sabhi sang-dil hain 'wajih'

    tu uTha ret ke ye mahal bhag ja

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now