zindagi-e-be-maza ke naz uTha sakta hai kaun
zindagi-e-be-maza ke naz uTha sakta hai kaun
Gulamullah Afsoon Bhopali
MORE BYGulamullah Afsoon Bhopali
zindagī-e-be-maza ke naaz uThā saktā hai kaun
bhūlne vaale bhalā tujh ko bhulā saktā hai kaun
barmalā rūdād-e-ġham un ko sunā saktā hai kaun
apnī rāh-e-shauq meñ kāñTe bichhā saktā hai kaun
us nazar ke sāmne nazreñ uThā saktā hai kaun
āsmāñ se in zamīnoñ ko milā saktā hai kaun
zāhirī tark-e-ta.alluq par hai duniyā ḳhush to ho
un se jo kuchh rabt-e-bātin hai miTā saktā hai kaun
qalb raushan hausle mohkam irāde pā.edār
rahravān-e-ishq ko mash.al dikhā saktā hai kaun
zarra zarra se numāyāñ jalva-hā-e-husn-e-dost
jab ye aalam ho to phir dāman bachā saktā hai kaun
raah kī dushvāriyāñ ab un ko samjhānā fuzūl
Dūbne vaale ko ai 'afsūñ' bachā saktā hai kaun
zindagi-e-be-maza ke naz uTha sakta hai kaun
bhulne wale bhala tujh ko bhula sakta hai kaun
barmala rudad-e-gham un ko suna sakta hai kaun
apni rah-e-shauq mein kanTe bichha sakta hai kaun
us nazar ke samne nazren uTha sakta hai kaun
aasman se in zaminon ko mila sakta hai kaun
zahiri tark-e-talluq par hai duniya KHush to ho
un se jo kuchh rabt-e-baatin hai miTa sakta hai kaun
qalb raushan hausle mohkam irade paedar
rahrawan-e-ishq ko mashal dikha sakta hai kaun
zarra zarra se numayan jalwa-ha-e-husn-e-dost
jab ye aalam ho to phir daman bacha sakta hai kaun
rah ki dushwariyan ab un ko samjhana fuzul
Dubne wale ko ai 'afsun' bacha sakta hai kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.