zindagi fart-e-hadsat se hai
zindagi fart-e-hadsat se hai
Sahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem
MORE BYSahabzada Meer Burhan Ali Khan Kaleem
zindagī fart-e-hādsāt se hai
maut āsā.ish-e-hayāt se hai
shām-e-zulmat hai muft meñ badnām
ābrū-e-sahar to raat se hai
be-ruḳhī meñ hai kaif-e-sarshārī
tishnagī lutf-e-iltifāt se hai
zauq-e-ārā.ish-e-jamāl se duur
sādgī husn kī sifāt se hai
maiñ na hotā to baat hī kyā thī
baat lekin jo kā.enāt se hai
qurb-e-jānāñ se ḳhauf khātā huuñ
pyaar tark-e-ta.alluqāt se hai
ret ke Dher par likhā hai naam
ye amal jaise bāqiyāt se hai
hādse aag bijliyāñ āñdhī
jo bhī aafat hai merī zaat se hai
kitne dariyā the maujzan us meñ
tishna-lab jo lab-e-furāt se hai
nazm-o-qat'āt bhī 'kalīm' haiñ ḳhuub
kaif ġhazloñ kī vārdāt se hai
zindagi fart-e-hadsat se hai
maut aasaish-e-hayat se hai
sham-e-zulmat hai muft mein badnam
aabru-e-sahar to raat se hai
be-ruKHi mein hai kaif-e-sarshaari
tishnagi lutf-e-iltifat se hai
zauq-e-araish-e-jamal se dur
sadgi husn ki sifat se hai
main na hota to baat hi kya thi
baat lekin jo kaenat se hai
qurb-e-jaanan se KHauf khata hun
pyar tark-e-talluqat se hai
ret ke Dher par likha hai nam
ye amal jaise baqiyat se hai
hadse aag bijliyan aandhi
jo bhi aafat hai meri zat se hai
kitne dariya the maujzan us mein
tishna-lab jo lab-e-furaat se hai
nazm-o-qat'at bhi 'kalim' hain KHub
kaif ghazlon ki wardat se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.