zindagi gham ke andheron mein sanwarne se rahi
zindagī ġham ke añdheroñ meñ sañvarne se rahī
ek tanvīr-e-hayāt aaj ubharne se rahī
maiñ payambar nahīñ insāñ huuñ ḳhatā-kār insāñ
arsh se koī vahī mujh par utarne se rahī
maiñ ne kar rakkhā hai mahsūr chaman kī had tak
shāḳh-dar-shāḳh koī barq guzarne se rahī
laakh afkār-o-havādis mujhe rauñdeñ baḌh kar
jo vafā mujh ko milī hai kabhī marne se rahī
aadmī kitne hayūle hī banā kar rakkhe
maut phir maut hai jab aa.ī to Darne se rahī
āḳhirī vaqt hai muḳhtal hue jaate haiñ havās
aise meñ merī ḳhudī kaam to karne se rahī
gher rakkhā hai har ik samt se tūfānoñ ne
merī kashtī to kabhī paar utarne se rahī
'sādiq' us moḌ pe le aate haiñ hālāt hameñ
mauj-e-ehsās zarā aaj Thaharne se rahī
zindagi gham ke andheron mein sanwarne se rahi
ek tanwir-e-hayat aaj ubharne se rahi
main payambar nahin insan hun KHata-kar insan
arsh se koi wahi mujh par utarne se rahi
main ne kar rakkha hai mahsur chaman ki had tak
shaKH-dar-shaKH koi barq guzarne se rahi
lakh afkar-o-hawadis mujhe raunden baDh kar
jo wafa mujh ko mili hai kabhi marne se rahi
aadmi kitne hayule hi bana kar rakkhe
maut phir maut hai jab aai to Darne se rahi
aaKHiri waqt hai muKHtal hue jate hain hawas
aise mein meri KHudi kaam to karne se rahi
gher rakkha hai har ek samt se tufanon ne
meri kashti to kabhi par utarne se rahi
'sadiq' us moD pe le aate hain haalat hamein
mauj-e-ehsas zara aaj Thaharne se rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.