zindagi gar science hai isko parakhna chahiye
zindagī gar science hai is ko parakhnā chāhiye
zindagī gar art hai is ko nikharnā chāhiye
qīmtī hai vaqt is kī qadr karnā chāhiye
baat koī Thaan lī to kar guzarnā chāhiye
zinda rahne ke liye ye bhī zarūrī hai bahut
aadmī ko vaqt ke sāñche meñ Dhalnā chāhiye
mashvaroñ se hī nahīñ hotā har ik mushkil kā hal
ham ko apne aap se bhī baat karnā chāhiye
news channel aur aḳhbāroñ meñ jaisā dikh rahā
mulk vaisā hai nahīñ ham ko samajhnā chāhiye
sirf vande mātaram kahne se kuchh hogā nahīñ
desh kī ḳhātir hameñ kuchh aur karnā chāhiye
jab ki ġhaibī tāqatoñ se lais haiñ firqe sabhī
diin ko haq baat se phir kyoñ mukarnā chāhiye
zindagi gar science hai is ko parakhna chahiye
zindagi gar art hai is ko nikharna chahiye
qimti hai waqt is ki qadr karna chahiye
baat koi Than li to kar guzarna chahiye
zinda rahne ke liye ye bhi zaruri hai bahut
aadmi ko waqt ke sanche mein Dhalna chahiye
mashwaron se hi nahin hota har ek mushkil ka hal
hum ko apne aap se bhi baat karna chahiye
news channel aur aKHbaron mein jaisa dikh raha
mulk waisa hai nahin hum ko samajhna chahiye
sirf wande mataram kahne se kuchh hoga nahin
desh ki KHatir hamein kuchh aur karna chahiye
jab ki ghaibi taqaton se lais hain firqe sabhi
din ko haq baat se phir kyon mukarna chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.