zindagi gardish-e-ayyam se aage na baDhi
zindagī gardish-e-ayyām se aage na baḌhī
dāstāñ merī tire naam se aage na baḌhī
chashm-e-sāqī kī haqīqat ko vo kyā samjheñge
mai-kashī jin kī kabhī jaam se aage na baḌhī
kitne hī jalve numāyāñ the fazā meñ ai dost
aur nazar thī ki dar-o-bām se aage na baḌhī
un se phir 'arz-e-tamannā pe hue ham majbūr
baat jab nāma-o-paiġhām se aage na baḌhī
zindagī ban ga.ī mere liye pechīda savāl
aarzū jab dil-e-nākām se aage na baḌhī
yuuñ to likhne ko bahut kuchh thā mohabbat meñ magar
shā'irī 'mīr' tire naam se aage na baḌhī
zindagi gardish-e-ayyam se aage na baDhi
dastan meri tere nam se aage na baDhi
chashm-e-saqi ki haqiqat ko wo kya samjhenge
mai-kashi jin ki kabhi jam se aage na baDhi
kitne hi jalwe numayan the faza mein ai dost
aur nazar thi ki dar-o-baam se aage na baDhi
un se phir 'arz-e-tamanna pe hue hum majbur
baat jab nama-o-paigham se aage na baDhi
zindagi ban gai mere liye pechida sawal
aarzu jab dil-e-nakaam se aage na baDhi
yun to likhne ko bahut kuchh tha mohabbat mein magar
sha'iri 'mir' tere nam se aage na baDhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.