zindagi guzri hai aksar aise unwanon ke bich
zindagī guzrī hai aksar aise unvānoñ ke biich
jaise sachchā.ī bayāñ kī jaa.e afsānoñ ke biich
chāk-e-dāman sī rahe haiñ aaj dīvānoñ ke biich
shā'irī jaise kiyā karte haiñ nā-dānoñ ke biich
husn ko pahchānte hī ḳhvāb tak jaate rahe
ye bhī ik nuqsāñ huā hai saare nuqsānoñ ke biich
shaam Dhalte dard terā is tarah raushan huā
jaise aañsū jhilmilā jaate haiñ muskānoñ ke biich
DevḌhī ko nazm karne ke liye sochā bahut
kitnī yādeñ le ke baiThā huuñ maiñ dālānoñ ko biich
qadr kar lo ai na.ī nasloñ ke fankāro ki ham
DhūñDne par bhī na mil pā.eñge imkānoñ ke biich
mutma.in to koī bhī 'shāhid' nahīñ hai dahr meñ
aarzū jiine kī phir bhī hai pareshānoñ ke biich
zindagi guzri hai aksar aise unwanon ke bich
jaise sachchai bayan ki jae afsanon ke bich
chaak-e-daman si rahe hain aaj diwanon ke bich
sha'iri jaise kiya karte hain na-danon ke bich
husn ko pahchante hi KHwab tak jate rahe
ye bhi ek nuqsan hua hai sare nuqsanon ke bich
sham Dhalte dard tera is tarah raushan hua
jaise aansu jhilmila jate hain muskanon ke bich
DewDhi ko nazm karne ke liye socha bahut
kitni yaaden le ke baiTha hun main dalanon ko bich
qadr kar lo ai nai naslon ke fankaro ki hum
DhunDne par bhi na mil paenge imkanon ke bich
mutmain to koi bhi 'shahid' nahin hai dahr mein
aarzu jine ki phir bhi hai pareshanon ke bich
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.