zindagi hai ki har ek gam nigun-sar hai abhi
zindagī hai ki har ik gaam nigūñ-sar hai abhī
zehn ghaTte hue ehsās kā mehvar hai abhī
chhūT kar jā.ūñ kahāñ maiñ ki huuñ ḳhud meñ hī asiir
jaane kis dard kā aaseb mire sar hai abhī
zalzala ban ke miTā degī kisī roz mujhe
haa.e vo shai ki jo muzmar mire andar hai abhī
na koī aks na chehra hai na paikar koī
duur tak dhuñd meñ lipTā huā manzar hai abhī
hādse gher na leñ phir sar-e-bāzār mujhe
mere siine meñ vahī shor samundar hai abhī
zindagi hai ki har ek gam nigun-sar hai abhi
zehn ghaTte hue ehsas ka mehwar hai abhi
chhuT kar jaun kahan main ki hun KHud mein hi asir
jaane kis dard ka aaseb mere sar hai abhi
zalzala ban ke miTa degi kisi roz mujhe
hae wo shai ki jo muzmar mere andar hai abhi
na koi aks na chehra hai na paikar koi
dur tak dhund mein lipTa hua manzar hai abhi
hadse gher na len phir sar-e-bazar mujhe
mere sine mein wahi shor samundar hai abhi
- Book : سکوت دشت (Pg. 46)
- Author : اقبال انجم
- Publication : ایجوکیشنل پبلشنگ ہاؤس دہلی۔6 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.