zindagi hai mere hathon mein taraazu ki tarah
zindagī hai mere hāthoñ meñ tarāzū kī tarah
vaqt Thahrā hai merī āñkhoñ meñ aañsū kī tarah
aa.ine meñ mire chehre kā tirā ho jaanā
muñh chiḌhātā hai mujhe raat ke jaadū kī tarah
maiñ jahāñ jā.ūñ mahaktā hai tasavvur terā
saath rahtā hai vo ehsās kī ḳhushbū kī tarah
tere jaane pe ye ehsās huā hai aksar
ḳhālī ḳhālī sī hai duniyā mire pahlū kī tarah
jaltī rakh aayā huuñ āñkheñ maiñ kahīñ chaukhaT par
terī rāhoñ meñ hai raushan kisī jugnū kī tarah
vasl ke baa'd bhī suntā huuñ hañsī ko terī
der tak kaan meñ bajtī hai vo ghuñghrū kī tarah
zindagi hai mere hathon mein taraazu ki tarah
waqt Thahra hai meri aankhon mein aansu ki tarah
aaine mein mere chehre ka tera ho jaana
munh chiDhata hai mujhe raat ke jadu ki tarah
main jahan jaun mahakta hai tasawwur tera
sath rahta hai wo ehsas ki KHushbu ki tarah
tere jaane pe ye ehsas hua hai aksar
KHali KHali si hai duniya mere pahlu ki tarah
jalti rakh aaya hun aankhen main kahin chaukhaT par
teri rahon mein hai raushan kisi jugnu ki tarah
wasl ke ba'd bhi sunta hun hansi ko teri
der tak kan mein bajti hai wo ghunghru ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.