zindagi hum tere ehsan se kab niklenge
zindagī ham tire ehsān se kab nikleñge
phuul sūkhe hue gul-dān se kab nikleñge
dar-o-dīvār mirī ruuh ko kab chhoḌeñge
mere saa.e mire dālān se kab nikleñge
yaum-e-āḳhīr mirī aañkh meñ kab aa.egā
tere ausāf kal insān se kab nikleñge
shā.erī ne mire logoñ ko judā mujh se kiyā
ye jarāsīm mirī jaan se kab nikleñge
sāhilī log tahaffuz kī duā māñgte haiñ
ye safīne tire tūfān se kab nikleñge
ajnabī haath mire rāh-numā kab hoñge
rāste manzil-e-anjān se kab nikleñge
jaane ham shar ke havālāt se kab chhūTeñge
rāste ḳhair ke juzdān se kab nikleñge
zindagi hum tere ehsan se kab niklenge
phul sukhe hue gul-dan se kab niklenge
dar-o-diwar meri ruh ko kab chhoDenge
mere sae mere dalan se kab niklenge
yaum-e-aKHir meri aankh mein kab aaega
tere ausaf kal insan se kab niklenge
shaeri ne mere logon ko juda mujh se kiya
ye jarasim meri jaan se kab niklenge
sahili log tahaffuz ki dua mangte hain
ye safine tere tufan se kab niklenge
ajnabi hath mere rah-numa kab honge
raste manzil-e-anjaan se kab niklenge
jaane hum shar ke hawalat se kab chhuTenge
raste KHair ke juzdan se kab niklenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.