zindagi hum to samajhte the basar ho jaegi
zindagī ham to samajhte the basar ho jā.egī
kyā ḳhabar thī yuuñ musalsal dard-e-sar ho jā.egī
aap apnī sūrat-e-zebā ko shīshe meñ huzūr
ġhaur se itnā bhī na dekheñ nazar ho jā.egī
nukta-chīno bas zarā sā dhan kamā lene to do
dekhnā phir merī har ḳhāmī hunar ho jā.egī
haañ yahī hogā mirā sach chīḳhtā rah jā.egā
aap kī jhūTī kahānī mo'atabar ho jā.egī
aarzū puurī nahīñ hotī yahāñ 'imrān' tum
noch lo koñpal hī varna ye shajar ho jā.egī
zindagi hum to samajhte the basar ho jaegi
kya KHabar thi yun musalsal dard-e-sar ho jaegi
aap apni surat-e-zeba ko shishe mein huzur
ghaur se itna bhi na dekhen nazar ho jaegi
nukta-chino bas zara sa dhan kama lene to do
dekhna phir meri har KHami hunar ho jaegi
han yahi hoga mera sach chiKHta rah jaega
aap ki jhuTi kahani mo'atabar ho jaegi
aarzu puri nahin hoti yahan 'imran' tum
noch lo konpal hi warna ye shajar ho jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.