zindagi hum yun bitate jaenge
zindagī ham yuuñ bitāte jā.eñge
sab ko hī apnā banāte jā.eñge
hāl-e-dil apnā na kahnā ab kabhī
log sun kar muskurāte jā.eñge
bevafā hai vo to ham ko ġham nahīñ
ham vafā ke giit gaate jā.eñge
tum hamāre she'r paḌh kar dekh lo
ye tumhārā dil lubhāte jā.eñge
chal rahā hai yūñhī duniyā kā nizām
log aate aur jaate jā.eñge
tū mujhe chāhe na chāhe ai sanam
jashn terā ham manāte jā.eñge
tū to chal 'minhāj' rāh-e-'ishq par
log tere saath aate jā.eñge
zindagi hum yun bitate jaenge
sab ko hi apna banate jaenge
haal-e-dil apna na kahna ab kabhi
log sun kar muskuraate jaenge
bewafa hai wo to hum ko gham nahin
hum wafa ke git gate jaenge
tum hamare she'r paDh kar dekh lo
ye tumhaara dil lubhate jaenge
chal raha hai yunhi duniya ka nizam
log aate aur jate jaenge
tu mujhe chahe na chahe ai sanam
jashn tera hum manate jaenge
tu to chal 'minhaj' rah-e-'ishq par
log tere sath aate jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.