zindagi ho gai hai lahu kya karen
zindagī ho ga.ī hai lahū kyā kareñ
ai ġham-e-dil tirī aarzū kyā kareñ
kūcha-e-zīst meñ hāo-hū kyā kareñ
zer-e-ḳhanjar hai apnā gulū kyā kareñ
dāman-e-hosh apnā rafū kyā kareñ
har jagah bah rahā hai lahū kyā kareñ
dil ko bhātā nahīñ nafratoñ kā samāñ
pyaar badnām hai kū-ba-kū kyā kareñ
shiddat-e-dard se aañkh bhar aa.ī hai
mil ga.ī ḳhaak meñ aabrū kyā kareñ
zaḳhm hī zaḳhm haiñ daaġh hī daaġh haiñ
aa.ina chehre ke rū-barū kyā kareñ
dil kā ab dil se rishta hī baaqī nahīñ
dost bhī lag rahā hai 'adū kyā kareñ
ik 'ajab aag meñ jal rahe haiñ sabhī
hai dhuāñ hī dhuāñ chār-sū kyā kareñ
jis ko jalnā thā 'parkāsh' vo jal gayā
raakh par baiTh kar justujū kyā kareñ
zindagi ho gai hai lahu kya karen
ai gham-e-dil teri aarzu kya karen
kucha-e-zist mein hao-hu kya karen
zer-e-KHanjar hai apna gulu kya karen
daman-e-hosh apna rafu kya karen
har jagah bah raha hai lahu kya karen
dil ko bhata nahin nafraton ka saman
pyar badnam hai ku-ba-ku kya karen
shiddat-e-dard se aankh bhar aai hai
mil gai KHak mein aabru kya karen
zaKHm hi zaKHm hain dagh hi dagh hain
aaina chehre ke ru-baru kya karen
dil ka ab dil se rishta hi baqi nahin
dost bhi lag raha hai 'adu kya karen
ek 'ajab aag mein jal rahe hain sabhi
hai dhuan hi dhuan chaar-su kya karen
jis ko jalna tha 'parkash' wo jal gaya
rakh par baiTh kar justuju kya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.