zindagi ho gai kis tarah basar yaad nahin
zindagī ho ga.ī kis tarah basar yaad nahīñ
roz-o-shab yaad nahīñ shām-o-sahar yaad nahīñ
luT gayā kaise mohabbat meñ ye ghar yaad nahīñ
kaise barbād hue qalb-o-jigar yaad nahīñ
hāl-e-zār apne dil-afgār kā kyoñ bhuul ga.e
ḳhushk lab yaad nahīñ dīda-e-tar yaad nahīñ
zāhid-e-ḳhushk hue dete haiñ sab ko ta.alīm
shaiḳh ko apnā kabhī dāman-e-tar yaad nahīñ
un kī tanqīd-nigāhī pe hai dil ko hairat
aib sab ginte haiñ aur ek hunar yaad nahīñ
aaj pahlū meñ pata dil kā nahīñ miltā hai
kaam kab kar ga.ī duzdīda nazar yaad nahīñ
TikTikī chashm-e-tamannā ko dam-e-jalva rahī
kis ghaḌī TuuT gayā tār-e-nazar yaad nahīñ
mujh se va.ada jo liyā tum ne jo iqrār kiyā
mujh ko to yaad hai sab tum ko magar yaad nahīñ
mil ke 'sāqib' mujhe aarā ke suḳhan-sanjoñ se
huī hāsil vo ḳhushī ranj-e-safar yaad nahīñ
zindagi ho gai kis tarah basar yaad nahin
roz-o-shab yaad nahin sham-o-sahar yaad nahin
luT gaya kaise mohabbat mein ye ghar yaad nahin
kaise barbaad hue qalb-o-jigar yaad nahin
haal-e-zar apne dil-afgar ka kyon bhul gae
KHushk lab yaad nahin dida-e-tar yaad nahin
zahid-e-KHushk hue dete hain sab ko talim
shaiKH ko apna kabhi daman-e-tar yaad nahin
un ki tanqid-nigahi pe hai dil ko hairat
aib sab ginte hain aur ek hunar yaad nahin
aaj pahlu mein pata dil ka nahin milta hai
kaam kab kar gai duzdida nazar yaad nahin
TikTiki chashm-e-tamanna ko dam-e-jalwa rahi
kis ghaDi TuT gaya tar-e-nazar yaad nahin
mujh se wada jo liya tum ne jo iqrar kiya
mujh ko to yaad hai sab tum ko magar yaad nahin
mil ke 'saqib' mujhe aara ke suKHan-sanjon se
hui hasil wo KHushi ranj-e-safar yaad nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.