zindagi hone lagi darham kahin barham kahin
zindagi hone lagi darham kahin barham kahin
Shafiullah Khan Janbaz
MORE BYShafiullah Khan Janbaz
zindagī hone lagī darham kahīñ barham kahīñ
nāchte haiñ mil ke bāham sho.ala-o-shabnam kahīñ
har taraf ġhārat-garī hai ḳhuun kā dariyā ravāñ
ḳhuun se Dhālī ga.ī hai fitrat-e-ādam kahīñ
ai ḳhudā-vand-e-jahāñ duniyā meñ kyā andher hai
hai kahīñ sāvan yahāñ patjhaḌ kā hai mausam kahīñ
chāñdnī rātoñ meñ gum hai kārvān-e-zindagī
kaun jaane kab mileñge tum kahīñ aur ham kahīñ
apnī barbādī kā afsāna na ho jaa.e ayaañ
sāz-e-dil par chheḌ deñ na hasrateñ sargam kahīñ
har qadam 'jāñbāz' manzil kī taraf uThtā to hai
dil ke armāñ toḌ deñ na rāste meñ dam kahīñ
zindagi hone lagi darham kahin barham kahin
nachte hain mil ke baham shoala-o-shabnam kahin
har taraf ghaarat-gari hai KHun ka dariya rawan
KHun se Dhaali gai hai fitrat-e-adam kahin
ai KHuda-wand-e-jahan duniya mein kya andher hai
hai kahin sawan yahan patjhaD ka hai mausam kahin
chandni raaton mein gum hai karwan-e-zindagi
kaun jaane kab milenge tum kahin aur hum kahin
apni barbaadi ka afsana na ho jae ayan
saz-e-dil par chheD den na hasraten sargam kahin
har qadam 'jaanbaz' manzil ki taraf uThta to hai
dil ke arman toD den na raste mein dam kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.