zindagi ek jal mein uljhi hui hai aaj bhi
zindagī ik jaal meñ uljhī huī hai aaj bhī
bebasī pahle jo thī vo bebasī hai aaj bhī
aaj bhī sahmī huī hai har taraf insāniyat
aadmī kī koshishoñ meñ kuchh kamī hai aaj bhī
ai dil-e-mā'sūm terī ārzūoñ ke tufail
be-sabab be-mudda’ā dīvāngī hai aaj bhī
merī manzil ke nishāñ tak miT chuke muddat huī
kis liye ai dil vahī āvārgī hai aaj bhī
ek muddat ho ga.ī vo hādisa guzre hue
hausloñ par kis liye bechārgī hai aaj bhī
zindagī kyoñ ḳhushk hai be-kaif hai be-rang hai
kuchh na kuchh to baat hai jis kī kamī hai aaj bhī
zindagi ek jal mein uljhi hui hai aaj bhi
bebasi pahle jo thi wo bebasi hai aaj bhi
aaj bhi sahmi hui hai har taraf insaniyat
aadmi ki koshishon mein kuchh kami hai aaj bhi
ai dil-e-ma'sum teri aarzuon ke tufail
be-sabab be-mudda’a diwangi hai aaj bhi
meri manzil ke nishan tak miT chuke muddat hui
kis liye ai dil wahi aawargi hai aaj bhi
ek muddat ho gai wo hadisa guzre hue
hauslon par kis liye bechaargi hai aaj bhi
zindagi kyon KHushk hai be-kaif hai be-rang hai
kuchh na kuchh to baat hai jis ki kami hai aaj bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.