zindagi ek sarab-ashna majra tum kahan jaoge hum kahan jaenge
zindagi ek sarab-ashna majra tum kahan jaoge hum kahan jaenge
Shehzad Anjum Burhani
MORE BYShehzad Anjum Burhani
zindagī ik sarāb-āshnā mājrā tum kahāñ jāoge ham kahāñ jā.eñge
maut tak tishnagī kā hai ye silsila tum kahāñ jāoge ham kahāñ jā.eñge
āḳhir-e-shab kī sargoshiyāñ sun to lo sub.h ke baa'd hai phir vahī hā-o-hū
uTh ke is anjuman se kise hai pata tum kahāñ jāoge ham kahāñ jā.eñge
intihā-e-kamāl-e-suḳhan ab kahāñ in dayāroñ meñ vo bāñkpan ab kahāñ
aaj tarfain meñ hai 'ajab fāsla tum kahāñ jāoge ham kahāñ jā.eñge
zindagi ek sarab-ashna majra tum kahan jaoge hum kahan jaenge
maut tak tishnagi ka hai ye silsila tum kahan jaoge hum kahan jaenge
aaKHir-e-shab ki sargoshiyan sun to lo subh ke ba'd hai phir wahi ha-o-hu
uTh ke is anjuman se kise hai pata tum kahan jaoge hum kahan jaenge
intiha-e-kamal-e-suKHan ab kahan in dayaron mein wo bankpan ab kahan
aaj tarfain mein hai 'ajab fasla tum kahan jaoge hum kahan jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.