zindagi is ke siwa ab aur hal koi nahin
zindagī is ke sivā ab aur hal koī nahīñ
maut hai aur maut kā nemul-badal koī nahīñ
dil kisī bhī baat par qaa.em nahīñ rahtā kabhī
faisla jaisā bhī ho hotā aTal koī nahīñ
haath hai aur dastaras meñ kuchh nahīñ rakkhā gayā
baaġh hai lekin vahāñ mausam kā phal koī nahīñ
hausle kī daad do ki faisla sunte hue
hoñT bhī ḳhāmosh haiñ māthe pe bal koī nahīñ
vasl kā ik baab bhī āñkhoñ meñ terā ḳhvāb bhī
kal talak maujūd thā par āj-kal koī nahīñ
ishq ke is diin meñ ham bhī munāfiq ho ga.e
pahlā kalima paḌh liyā lekin amal koī nahīñ
zindagi is ke siwa ab aur hal koi nahin
maut hai aur maut ka nemul-badal koi nahin
dil kisi bhi baat par qaem nahin rahta kabhi
faisla jaisa bhi ho hota aTal koi nahin
hath hai aur dastaras mein kuchh nahin rakkha gaya
bagh hai lekin wahan mausam ka phal koi nahin
hausle ki dad do ki faisla sunte hue
honT bhi KHamosh hain mathe pe bal koi nahin
wasl ka ek bab bhi aankhon mein tera KHwab bhi
kal talak maujud tha par aaj-kal koi nahin
ishq ke is din mein hum bhi munafiq ho gae
pahla kalima paDh liya lekin amal koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.