zindagi is tarah guzari hai
zindagī is tarah guzārī hai
silsila ḳhatm saañs jaarī hai
dard ġham ashk aur māyūsī
terī ummīd sab pe bhārī hai
maiñ ne DhūñDhī to muḳhtasar paa.ī
duniyā jo dikhtī itnī saarī hai
niiñd ke baazū TuuT jaate haiñ
ḳhvāb kā bojh itnā bhārī hai
khel khelā thā umr kā lekin
maut jiitī hayāt haarī hai
ye nahīñ raat kā siyah āñchal
ye faqat raat kī kanārī hai
vaqt kī dhuul jam ga.ī thī phir
umr kī phir parat utārī hai
zindagi is tarah guzari hai
silsila KHatm sans jari hai
dard gham ashk aur mayusi
teri ummid sab pe bhaari hai
main ne DhunDhi to muKHtasar pai
duniya jo dikhti itni sari hai
nind ke bazu TuT jate hain
KHwab ka bojh itna bhaari hai
khel khela tha umr ka lekin
maut jiti hayat haari hai
ye nahin raat ka siyah aanchal
ye faqat raat ki kanari hai
waqt ki dhul jam gai thi phir
umr ki phir parat utari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.