zindagi jab bhi mila karti hai
zindagī jab bhī milā kartī hai
jaane kyoñ mujh pe hañsā kartī hai
haa.e kyā shaḳhs thā marne vaalā
zindagī yaad kiyā kartī hai
muskurātā hai kahīñ aur vo shaḳhs
raushnī dil meñ huā kartī hai
ham buzurgān-e-adab haiñ ham se
zindagī jhuk ke milā kartī hai
jab se bichhḌā hai vo sar-tā-pā ġhazal
zindagī sher kahā kartī hai
zindagī bhī tirī chāhat kī tarah
ek hī baar milā kartī hai
zindagī ik to milī mujh ko udhār
vo bhī bīmār rahā kartī hai
kyā mohazzab hai havā bhī ab ke
sar se dastār judā kartī hai
zindagi jab bhi mila karti hai
jaane kyon mujh pe hansa karti hai
hae kya shaKHs tha marne wala
zindagi yaad kiya karti hai
muskuraata hai kahin aur wo shaKHs
raushni dil mein hua karti hai
hum buzurgan-e-adab hain hum se
zindagi jhuk ke mila karti hai
jab se bichhDa hai wo sar-ta-pa ghazal
zindagi sher kaha karti hai
zindagi bhi teri chahat ki tarah
ek hi bar mila karti hai
zindagi ek to mili mujh ko udhaar
wo bhi bimar raha karti hai
kya mohazzab hai hawa bhi ab ke
sar se dastar juda karti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.