zindagi jab sawal karti hai
zindagī jab savāl kartī hai
kab kisī kā ḳhayāl kartī hai
chāñd masnad pe baiTh jaatā hai
chāñdnī arz-e-hāl kartī hai
apne matlab ke vāste duniyā
kyoñ mujhe isti.māl kartī hai
zaḳhm detī hai zindagī ḳhud hī
aur ḳhud indimāl kartī hai
dil ke paudoñ ko vaqt kī āñdhī
kis tarah pā.emāl kartī hai
rahm kartī hai ham pe duniyā bhī
haañ magar ḳhāl-ḳhāl kartī hai
zindagī ko zavāl hai lekin
maut to lā-zavāl kartī hai
zindagi jab sawal karti hai
kab kisi ka KHayal karti hai
chand masnad pe baiTh jata hai
chandni arz-e-haal karti hai
apne matlab ke waste duniya
kyon mujhe istimal karti hai
zaKHm deti hai zindagi KHud hi
aur KHud indimal karti hai
dil ke paudon ko waqt ki aandhi
kis tarah paemal karti hai
rahm karti hai hum pe duniya bhi
han magar KHal-KHal karti hai
zindagi ko zawal hai lekin
maut to la-zawal karti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.