zindagi jaise bhi guzregi guzar jaegi
zindagī jaise bhī guzregī guzar jā.egī
ye ḳhabar dekhnā ab aur kidhar jā.egī
kyā mirī zaat tirī fikr ko degī mahmez
kyā mirī baat tire dil meñ utar jā.egī
lafz badle haiñ to ma.anī bhī badalnā hoñge
varna ta.amīr kisī aur ke sar jā.egī
ruuh ik din to badan se mire hoñgī āzād
chāhtā huuñ ki na jaa.e vo magar jā.egī
ilm ke saath hai lāzim ki amal ho 'manzar'
baat sahrā kī sadā ho to kidhar jā.egī
zindagi jaise bhi guzregi guzar jaegi
ye KHabar dekhna ab aur kidhar jaegi
kya meri zat teri fikr ko degi mahmez
kya meri baat tere dil mein utar jaegi
lafz badle hain to mani bhi badalna honge
warna tamir kisi aur ke sar jaegi
ruh ek din to badan se mere hongi aazad
chahta hun ki na jae wo magar jaegi
ilm ke sath hai lazim ki amal ho 'manzar'
baat sahra ki sada ho to kidhar jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.