zindagi jehd-e-musalsal aur sila kuchh bhi nahin
zindagī jehd-e-musalsal aur sila kuchh bhī nahīñ
jī rahā huuñ jaise jiine kā mazā kuchh bhī nahīñ
aur hoñge jin ko miltā hai vafāoñ kā sila
yaañ to sab kuchh kho diyā lekin milā kuchh bhī nahīñ
sah rahā huuñ kab se nā-karda gunāhoñ kā azaab
ai ḳhudā kaise kahūñ merī ḳhatā kuchh bhī nahīñ
gardish-e-hālāt se bas phaḌphaḌā uTThe haiñ lab
aap ye sach jāniye ki mudda.ā kuchh bhī nahīñ
maiñ ne ai 'shahzād' duniyā bhar ko sab kuchh hī diyā
par ye duniyā kaisī hai is ne diyā kuchh bhī nahīñ
zindagi jehd-e-musalsal aur sila kuchh bhi nahin
ji raha hun jaise jine ka maza kuchh bhi nahin
aur honge jin ko milta hai wafaon ka sila
yan to sab kuchh kho diya lekin mila kuchh bhi nahin
sah raha hun kab se na-karda gunahon ka azab
ai KHuda kaise kahun meri KHata kuchh bhi nahin
gardish-e-haalat se bas phaDphaDa uTThe hain lab
aap ye sach jaaniye ki muddaa kuchh bhi nahin
main ne ai 'shahzad' duniya bhar ko sab kuchh hi diya
par ye duniya kaisi hai is ne diya kuchh bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.