zindagi jine ka wo sab ko hunar deta hai
zindagī jiine kā vo sab ko hunar detā hai
ġham jise detā hai patthar kā jigar detā hai
muflisoñ ko vo banā detā hai fayyāz kabhī
kabhī kam-zarfoñ ko vo lā'l-o-guhar detā hai
māñgnā merā 'amal denā 'ināyat us kī
ik vahī hai jo du'āoñ meñ asar detā hai
roz paḌhte haiñ jise kahte haiñ aḳhbār use
be-ḳhabar ho ke zamāne kī ḳhabar detā hai
jis kā dil 'ishq kī mastī se bharā ho yaaro
'ishq kī raah meñ vo dil nahīñ sar detā hai
aag nafrat ne lagā rakkhī hai dil meñ aisī
ab kirā.e pe koī soch ke ghar detā hai
rāh-e-haq meñ jo har ik chiiz luTātā hai 'kashish'
us kī jholī ko ḳhudā ġhaib se bhar detā hai
zindagi jine ka wo sab ko hunar deta hai
gham jise deta hai patthar ka jigar deta hai
muflison ko wo bana deta hai fayyaz kabhi
kabhi kam-zarfon ko wo la'l-o-guhar deta hai
mangna mera 'amal dena 'inayat us ki
ek wahi hai jo du'aon mein asar deta hai
roz paDhte hain jise kahte hain aKHbar use
be-KHabar ho ke zamane ki KHabar deta hai
jis ka dil 'ishq ki masti se bhara ho yaro
'ishq ki rah mein wo dil nahin sar deta hai
aag nafrat ne laga rakkhi hai dil mein aisi
ab kirae pe koi soch ke ghar deta hai
rah-e-haq mein jo har ek chiz luTata hai 'kashish'
us ki jholi ko KHuda ghaib se bhar deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.