zindagi jine ka ye taur naya rakkha hai
zindagī jiine kā ye taur nayā rakkhā hai
dard kā naam bhī ab ham ne davā rakkhā hai
hasrateñ rahne kā imkāñ hī nahīñ hai dil meñ
ārzūoñ kā nishāñ ham ne miTā rakkhā hai
soz-o-ġham haiñ yā ki armāñ hai koī kyā mā'lūm
dil ke hālāt ko siine ne chhupā rakhā hai
Dūbne vaale ne tinke kā sahārā na liyā
par tire naam ko siine se lagā rakkhā hai
gar jo fitrat meñ vafā rakkhī hai to lāzim hai
is jahāñ meñ hī kahīñ ajr-e-vafā rakkhā hai
maiñ ne jis dil ko tire qadmoñ tale rakkhā thā
tū ne us dil ko dukhānā hī ravā rakkhā hai
ġham-e-furqat meñ taḌaptī hai har ik shai 'sāqib'
shor sā dil ne bhī siine meñ machā rakhā hai
zindagi jine ka ye taur naya rakkha hai
dard ka nam bhi ab hum ne dawa rakkha hai
hasraten rahne ka imkan hi nahin hai dil mein
aarzuon ka nishan hum ne miTa rakkha hai
soz-o-gham hain ya ki arman hai koi kya ma'lum
dil ke haalat ko sine ne chhupa rakha hai
Dubne wale ne tinke ka sahaara na liya
par tere nam ko sine se laga rakkha hai
gar jo fitrat mein wafa rakkhi hai to lazim hai
is jahan mein hi kahin ajr-e-wafa rakkha hai
main ne jis dil ko tere qadmon tale rakkha tha
tu ne us dil ko dukhana hi rawa rakkha hai
gham-e-furqat mein taDapti hai har ek shai 'saqib'
shor sa dil ne bhi sine mein macha rakha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.