zindagi jis ke nam kar di hai
zindagī jis ke naam kar dī hai
niiñd us ne harām kar dī hai
din mirā khā liyā hai duniyā ne
aur badnām shaam kar dī hai
jis se ummīd ik zarā sī thī
us ne bhī rām-rām kar dī hai
māsivā is ke aur kyā hotā
diiñ ne duniyā ġhulām kar dī hai
jis ne phailāyā jaal saḌkoñ kā
us ne har road jaam kar dī hai
zindagi jis ke nam kar di hai
nind us ne haram kar di hai
din mera kha liya hai duniya ne
aur badnam sham kar di hai
jis se ummid ek zara si thi
us ne bhi ram-ram kar di hai
masiwa is ke aur kya hota
din ne duniya ghulam kar di hai
jis ne phailaya jal saDkon ka
us ne har road jam kar di hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.