zindagi ka Dhang ye kaisa hai tere shahr mein
zindagi ka Dhang ye kaisa hai tere shahr mein
Badr-e-Alam Khan Azmi
MORE BYBadr-e-Alam Khan Azmi
zindagī kā Dhang ye kaisā hai tere shahr meñ
ek rotā hai to ik hañstā hai tere shahr meñ
haath meñ patthar liye ik bhiiḌ hai har moḌ par
in dinoñ merā bahut charchā hai tere shahr meñ
mere siine meñ sulagtā hai koī ātish-fishāñ
har qadam par dil mirā jaltā hai tere shahr meñ
jin ke āñkheñ haiñ unheñ kuchh bhī nazar aatā nahīñ
dekhne vaalā magar andhā hai tere shahr meñ
jab koī chaḌhtā hai uupar khīñch lete haiñ use
ek girtā hai to ik uThtā hai tere shahr meñ
log sīñcheñge lahū se lahlahātī fasl ko
nafratoñ ke biij vo botā hai tere shahr meñ
jal rahī hai dhīre dhīre dil ke rishtoñ kī miThās
kaun hai jo aag bhaḌkātā hai tere shahr meñ
āstīnoñ meñ haiñ ḳhanjar phir bhī milte haiñ gale
dostī ke naam par dhoka hai tere shahr meñ
kis kī chīḳhoñ se larazte haiñ dar-o-dīvār sab
kaun hai jo raat bhar rotā hai tere shahr meñ
paañv se ma.azūr ho jaatā hai ḳhālis aur kharā
haañ vahī chaltā hai jo khoTā hai tere shahr meñ
tanz kartā hai mirī ġhurbat pe merā hī zamīr
hai burā vo shaḳhs jo achchhā hai tere shahr meñ
jañgaloñ meñ bheḌiye ko bheḌiyā khātā nahīñ
aadmī ko aadmī khātā hai tere shahr meñ
roz marne kī duā.eñ māñgtī hai zindagī
bas vahī zinda hai jo murda hai tere shahr meñ
kar diyā ta.amīr us kī qabr par bait-ul-ḳhalā
ek shā.ir kis qadar rusvā hai tere shahr meñ
āñdhiyoñ meñ bujh ga.e haiñ shahr ke saare charāġh
ek raushan bas tirā chehra hai tere shahr meñ
zindagi ka Dhang ye kaisa hai tere shahr mein
ek rota hai to ek hansta hai tere shahr mein
hath mein patthar liye ek bhiD hai har moD par
in dinon mera bahut charcha hai tere shahr mein
mere sine mein sulagta hai koi aatish-fishan
har qadam par dil mera jalta hai tere shahr mein
jin ke aankhen hain unhen kuchh bhi nazar aata nahin
dekhne wala magar andha hai tere shahr mein
jab koi chaDhta hai upar khinch lete hain use
ek girta hai to ek uThta hai tere shahr mein
log sinchenge lahu se lahlahati fasl ko
nafraton ke bij wo bota hai tere shahr mein
jal rahi hai dhire dhire dil ke rishton ki miThas
kaun hai jo aag bhaDkata hai tere shahr mein
aastinon mein hain KHanjar phir bhi milte hain gale
dosti ke nam par dhoka hai tere shahr mein
kis ki chiKHon se larazte hain dar-o-diwar sab
kaun hai jo raat bhar rota hai tere shahr mein
panw se mazur ho jata hai KHalis aur khara
han wahi chalta hai jo khoTa hai tere shahr mein
tanz karta hai meri ghurbat pe mera hi zamir
hai bura wo shaKHs jo achchha hai tere shahr mein
jangalon mein bheDiye ko bheDiya khata nahin
aadmi ko aadmi khata hai tere shahr mein
roz marne ki duaen mangti hai zindagi
bas wahi zinda hai jo murda hai tere shahr mein
kar diya tamir us ki qabr par bait-ul-KHala
ek shair kis qadar ruswa hai tere shahr mein
aandhiyon mein bujh gae hain shahr ke sare charagh
ek raushan bas tera chehra hai tere shahr mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.