zindagi ka har ek gham uThate hue
zindagī kā har ik ġham uThāte hue
maiñ sañbhalne lagā laḌkhaḌāte hue
laakh ham ne chhupāyā magar kyā kahe
ashk jaarī hue ġham chhupāte hue
maiñ ne dekhā hai chhat par unheñ raat ko
'mīr' kī ek ġhazal gungunāte hue
ranj-o-ġham meñ giraftār thā is qadar
ro paḌā haal apnā sunāte hue
haath us ke larazne lage the bahut
jām-e-ulfat mujhe kal pilāte hue
zindagi ka har ek gham uThate hue
main sanbhalne laga laDkhaDate hue
lakh hum ne chhupaya magar kya kahe
ashk jari hue gham chhupate hue
main ne dekha hai chhat par unhen raat ko
'mir' ki ek ghazal gungunate hue
ranj-o-gham mein giraftar tha is qadar
ro paDa haal apna sunate hue
hath us ke larazne lage the bahut
jam-e-ulfat mujhe kal pilate hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.