zindagi ka koi sahaara ho
zindagī kā koī sahārā ho
ham kisī ke koī hamārā ho
terī āvāz sun ke lagtā hai
jaise tanhā.ī ne pukārā ho
baat jab bhī ho chāñd tāroñ kī
terī āñkhoñ kā isti.ārā ho
raat jab aañkh meñ utar aa.ī
kis tarah sub.h kā nazārā ho
dil kahīñ aur lag hī jā.egā
ik isī ġham pe kyā guzārā ho
ġhaib kā ilm to nahīñ mujh ko
na hoñ alfāz to ishāra ho
de diyā hai to ye bhī batlā do
kis tarah dard ye gavāra ho
der se muntazir musāfir hai
ab daraḳhshāñ koī sitārā ho
maiñ to dariyā-e-pur-talātum huuñ
tum to mahfūz ik kinārā ho
sang-dil kuchh to de gumāñ ko mire
na ho sho.ala to ik sharāra ho
zindagi ka koi sahaara ho
hum kisi ke koi hamara ho
teri aawaz sun ke lagta hai
jaise tanhai ne pukara ho
baat jab bhi ho chand taron ki
teri aankhon ka istiara ho
raat jab aankh mein utar aai
kis tarah subh ka nazara ho
dil kahin aur lag hi jaega
ek isi gham pe kya guzara ho
ghaib ka ilm to nahin mujh ko
na hon alfaz to ishaara ho
de diya hai to ye bhi batla do
kis tarah dard ye gawara ho
der se muntazir musafir hai
ab daraKHshan koi sitara ho
main to dariya-e-pur-talatum hun
tum to mahfuz ek kinara ho
sang-dil kuchh to de guman ko mere
na ho shoala to ek sharara ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.