zindagi ka pata nahin hai koi
zindagī kā pata nahīñ hai koī
is ke jaisī balā nahīñ hai koī
sabr karnā to soch lenā tum
sabr kī intihā nahīñ hai koī
zehn par ḳhāmushī musallat hai
aur lab par duā nahīñ hai koī
itnī ḳhalvat kā kyā kareñge ham
zaḳhm bhī ab harā nahīñ hai koī
terī duniyā meñ kyā mire jaisā
aur mere sivā nahīñ hai koī
ishq kā Dhoñg kar rahe haiñ sab
ishq meñ mubtalā nahīñ hai koī
zahr kī shīshiyoñ pe likkhā hai
aur ab rāsta nahīñ hai koī
ham-safar to bahut se guzreñge
dūsrī 'ā.isha' nahīñ hai koī
zindagi ka pata nahin hai koi
is ke jaisi bala nahin hai koi
sabr karna to soch lena tum
sabr ki intiha nahin hai koi
zehn par KHamushi musallat hai
aur lab par dua nahin hai koi
itni KHalwat ka kya karenge hum
zaKHm bhi ab hara nahin hai koi
teri duniya mein kya mere jaisa
aur mere siwa nahin hai koi
ishq ka Dhong kar rahe hain sab
ishq mein mubtala nahin hai koi
zahr ki shishiyon pe likkha hai
aur ab rasta nahin hai koi
ham-safar to bahut se guzrenge
dusri 'aisha' nahin hai koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.