zindagi ka ye ajab dastur hai
zindagī kā ye ajab dastūr hai
paas jo jitnā hai utnā duur hai
aks aa.e bhī to kyā aa.e nazar
ek shīsha vo bhī chaknā-chūr hai
ho sadāqat kā alam kyūñkar buland
daar hai lekin binā mansūr hai
haal kī be-rahmiyoñ ke bāvajūd
qalb maazī se abhī maḳhmūr hai
kis tarah koī sukūñ paa.e jahāñ
har nafas dahkā huā tandūr hai
ḳhud hai har ik aadmī apnā hisār
jitnā jo āzād hai mahsūr hai
kal bhī ujrat ke liye thā dar-ba-dar
aaj bhī fāqa-zada mazdūr hai
qaidī-e-vahm-o-gumāñ honā 'nihāl'
mahv-e-hairat huuñ tujhe manzūr hai
zindagi ka ye ajab dastur hai
pas jo jitna hai utna dur hai
aks aae bhi to kya aae nazar
ek shisha wo bhi chakna-chur hai
ho sadaqat ka alam kyunkar buland
dar hai lekin bina mansur hai
haal ki be-rahmiyon ke bawajud
qalb mazi se abhi maKHmur hai
kis tarah koi sukun pae jahan
har nafas dahka hua tandur hai
KHud hai har ek aadmi apna hisar
jitna jo aazad hai mahsur hai
kal bhi ujrat ke liye tha dar-ba-dar
aaj bhi faqa-zada mazdur hai
qaidi-e-wahm-o-guman hona 'nihaal'
mahw-e-hairat hun tujhe manzur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.