zindagi ka ye falsafa dekha
zindagī kā ye falsafa dekhā
ġham meñ har shaḳhs mubtalā dekhā
bin batā.e chalā gayā mujh se
yaar terā bhī rūThnā dekhā
un ke pahlū meñ rahtā huuñ har pal
jab bhī dekhā to āshnā dekhā
tere jaane se sab ga.ī raunaq
ye dar-o-bām khokhlā dekhā
ḳhvāb bante hī khul ga.iiñ āñkheñ
ziist kā ye bhī vāqi'a dekhā
maañ bachātī hai yuuñ du'ā kar ke
maañ kā ham ne ye hausla dekhā
yaad taarī hai un kī bhī 'āqib'
zindagī bhar yuuñ rāstā dekhā
zindagi ka ye falsafa dekha
gham mein har shaKHs mubtala dekha
bin batae chala gaya mujh se
yar tera bhi ruThna dekha
un ke pahlu mein rahta hun har pal
jab bhi dekha to aashna dekha
tere jaane se sab gai raunaq
ye dar-o-baam khokhla dekha
KHwab bante hi khul gain aankhen
zist ka ye bhi waqi'a dekha
man bachati hai yun du'a kar ke
man ka hum ne ye hausla dekha
yaad tari hai un ki bhi 'aqib'
zindagi bhar yun rasta dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.