zindagi karte hain is haal mein mar jate hain
zindagī karte haiñ is haal meñ mar jaate haiñ
ham to har baar usī rah se guzar jaate haiñ
yuuñ shab-o-roz ke chakkar meñ sameTeñ kyā kyā
kuchh to an-dekhe bhī lamhāt bikhar jaate haiñ
ho na ehsās-e-junūñ ke hī muāfiq ye fazā
yuuñ to saa.e meñ ḳhayālāt sañvar jaate haiñ
aaj is bahr-e-tafakkur kā tamavvuj dekheñ
aaj ik aur hī sahrā meñ utar jaate haiñ
Duub marnā hī jo ho to bhī safīna chāhe
le ke jaatā hai kināre ko bhañvar jaate haiñ
apnī illat ki ham iifā kiye jaate haiñ vo ahd
un kī azmat ki vo har aan mukar jaate haiñ
aur baḌh jaa.eñ agar nāḳhun-e-ehsās-e-firāq
zaḳhm gahre hoñ to hoñ aur nikhar jaate haiñ
ham se Takrāne ke haiñ taur yahīñ se ho kar
hameñ ma.alūm hai 'nāzir' vo kidhar jaate haiñ
zindagi karte hain is haal mein mar jate hain
hum to har bar usi rah se guzar jate hain
yun shab-o-roz ke chakkar mein sameTen kya kya
kuchh to an-dekhe bhi lamhat bikhar jate hain
ho na ehsas-e-junun ke hi muafiq ye faza
yun to sae mein KHayalat sanwar jate hain
aaj is bahr-e-tafakkur ka tamawwuj dekhen
aaj ek aur hi sahra mein utar jate hain
Dub marna hi jo ho to bhi safina chahe
le ke jata hai kinare ko bhanwar jate hain
apni illat ki hum ifa kiye jate hain wo ahd
un ki azmat ki wo har aan mukar jate hain
aur baDh jaen agar naKHun-e-ehsas-e-firaq
zaKHm gahre hon to hon aur nikhar jate hain
hum se Takrane ke hain taur yahin se ho kar
hamein malum hai 'nazir' wo kidhar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.