zindagi ke aaine par ek sadaqat likh di kya
zindagī ke aa.ine par ik sadāqat likh dī kyā
ek pāgal ne bhalā aisī ibārat likh dī kyā
jis ke dāman par lahū ke chhīñTe hī chhīñTe rahe
naam par us ke chaman kī ab imāmat likh dī kyā
sach ko sach kahnā jahāñ par ho gunāhoñ meñ shumār
ek shā.ir ne jigar se ye haqīqat likh dī kyā
saikḌoñ ma.asūm ke jo qatl kā mujrim huā
dekhiye munsif ne us kī ab zamānat likh dī kyā
nafratoñ ke biij jo botā rahā hai umr bhar
phir usī ke naam tum ne ye mohabbat likh dī kyā
jis ne sajda kar liyā ho vaqt ke shah kā yahāñ
naam us ke ḳhūbsūrat sī imārat likh dī kyā
maiñ ne to bas aa.ina hī ik dikhāyā thā faqat
vaqt ke munsif ne us ko bhī baġhāvat likh dī kyā
vaqt kī dīvār par maiñ ne jo dekhā thā kabhī
chalte chalte us kī ai 'sārim' sarāhat likh dī kyā
zindagi ke aaine par ek sadaqat likh di kya
ek pagal ne bhala aisi ibarat likh di kya
jis ke daman par lahu ke chhinTe hi chhinTe rahe
nam par us ke chaman ki ab imamat likh di kya
sach ko sach kahna jahan par ho gunahon mein shumar
ek shair ne jigar se ye haqiqat likh di kya
saikDon masum ke jo qatl ka mujrim hua
dekhiye munsif ne us ki ab zamanat likh di kya
nafraton ke bij jo bota raha hai umr bhar
phir usi ke nam tum ne ye mohabbat likh di kya
jis ne sajda kar liya ho waqt ke shah ka yahan
nam us ke KHubsurat si imarat likh di kya
main ne to bas aaina hi ek dikhaya tha faqat
waqt ke munsif ne us ko bhi baghawat likh di kya
waqt ki diwar par main ne jo dekha tha kabhi
chalte chalte us ki ai 'sarim' sarahat likh di kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.